Shayari on Life

Life is all about experiences! The more you get experience, the wiser person you become. You always don’t get what you pray for. But there is something better lurking for you in the future. While most of us think of life as a struggle, there are many eminent poets who pen down their thoughts about life in deep. Some of them are inspirational; some of them are emotional. Regardless of language, all the shayars have explained what life is through life Shayari. Here we have curated some of the best deep Shayari on life in english and hindi that will surely motivate you to be a better person in life.

Deep Shayari on Life in Hindi but Written in English

1. Dekha Hai Zindagi Ko Kuchh Itne Qareeb Se,
Chehre Tamam Lagne Lage Hain Ajeeb Se.

2. Kya Likhun Hakeekat-E-Dil Aarzoo Behos Hai,
Khat Par Aansoo Bah Rahe Hain Kalam Khamosh Hai.

3. Jo Padha Hai Use Jeena Hi Nahin Hai Mumkin,
Zindagi Ko Main Kitabon Se Alag Rakhta Hoon.

4. Kabhi Aankhon Pe Kabhi Sar Pe Bithaye Rakhna,
Zindagi Nagavaar Sahi Dil Se Lagaye Rakhna.

5. Bade Hi Ajeeb Hain Ye Zindagi Ke Raaste,
Anjane Mod Par Kuchh Log Apne Ban Jate Hain,
Milne Ki Khushi Dein Ya Na Dein,
Magar Bichadne Ka Gam Zaroor De Jate Hain

6. Jeene Ka Hausla Kabhi Marne Ki Aarzoo,
Din Yoon Hi Dhoop-Chhaaon Mein Apne Bhi Kat Gaye.

7. Zindagi Sirf Mohabbat Nahi Kuchh Aur Bhi Hai,
Zulf-o-Rukhsaar Ki Jannat Nahi Kuchh Aur Bhi Hai,
Bhookh Aur Pyaas Ki Maari Huyi Iss Duniya Mein,
Ishq Hi Ek Hakiqat Nahi Kuchh Aur Bhi Hai.

8. Sar-e-Aam Mujhe Ye Shikayat Hai Zindagi Se,
Kyun Milta Nahi Mijaaz Mera Kisi Se.

9. Zindagi Uss Ajnabi Mod Par Le Aayi Hai,
Tum Chup Ho Mujhse Aur Main Chup Hun Sabse.

10. Kitna Mushkil Hai Zindagi Ka Yeh Safar,
Khuda Ne Marna Haraam Kiya Logon Ne Jeena.

11. Jugnuon Ki Roshni Se Teergi HatTi Nahi,Aayine Ki Saadgi Se Jhoothh Ki Patti Nahi,
Zindagi Mein Gham Nahi Fir Ismein Kya Mazaa,
Sirf Khushion Ke Sahare Zindagi KatTi Nai.

12. Aaram Se Tanha Kat Rahi Thi To Achchhi Thi,
Zindagi Tu Kahan Dil Ki Baaton Mein Aa Gayi.

13. Pahchaanu Kaise Tujh Ko Meri Zindagi Bataa,
Gujri Hai Tu Kareeb Se Lekin Naqaab Mein.

14. Pahchaanu Kaise Tujh Ko Meri Zindagi Bataa,
Gujri Hai Tu Kareeb Se Lekin Naqaab Mein.

15. Jaane Kab Aake Dabe Paanv Gujar Jaati Hai,
Meri Har Saans Mera Jism Purana Kar Ke.

16. Bakhsha Hai Thhokaron Ne Sambhalne Ka Hausla,
Har Haadsa Khayal Ko Gahraayi De Gaya.

17. Roj Dil Mein Hasraton Ko Jalta DekhKar,
Thak Chuka Hoon Zindagi Ka Ye Ravaiya DekhKar.

18. Thodi Masti Thoda Sa Imaan Bacha Paya Hoon,
Yeh Kya Kam Hai Apni Pahchaan Bacha Paya Hoon,
Kuchh Ummidein, Kuchh Sapne, Kuchh Mahekti Yaadein,
Jeene Ka Main Itna Hi Saman Bacha Paya Hoon.

19. Had-e-Shahar Se Nikali To Gaon-Gaon Chali,
Kuchh Yaadein Mere Sang Paaon Paaon Chali,
Safar Jo Dhoop Ka Kiya To Tazurba Hua,
Wo Zindagi Hi Kya Jo Chhaon-Chhaon Chali.

20. Ab Samajh Leta Hun Meethhe Lafzon Ki Kaduwahat,
Ho Gaya Hai Zindagi Ka Tajurba Thoda Thoda.

Two Lines Hindi Shayari on Life in English

21. Fursat Mile Jab Bhi To Ranjishen Bhula Dena,
Kaun Jaane Saanso Ki Mohlatein Kahan Tak Hain.

22. Dekha Hai Zindagi Ko Kuchh Itna Kareeb Se,
Chehre Tamaam Lagne Lage Hain Ab To Ajeeb Se.

23. Nahi Mangta Ai Khuda Ke Zindagi Sau Saal Ki De,
De Bhale Chand Lamhon Ki Lekin Kamaal Ki De.

24. Sabak Wo Humko Parhaye Hain Zindagi Ne Ke Hum,
Hua Tha Jo ilm Kitaabon Se Wo Bhi Bhool Gaye.

25. Jahan-Jahan Koi Thhokar Hai Meri Kismat Mein,
Wahin-Wahin Liye Firti Hai Meri Zindagi Mujhko.

26. Daudti Bhagti Zindagi Ka Yehi Tohfa Hai,
Khub Lutaate Rahe Apnapan Fir Bhi Log Khafa Hain.

27. Kabhi Khole To Kabhi Zulf Ko Bikhraye Hai,
Zindagi Shaam Hai Aur Shaam Dhali Jaye Hai.

28. Itni Bhi Bad-Saluki Na Kar… Ai Zindagi,
Hum Kaun Sa Yehan Baar-Baar Aane Wale Hain.

29. Le De Ke Apne Paas Faqat Ek Najar To Hai,
Kyun Dekhein Zindagi Ko Kisi Ki Najar Se Hum.

30. Thak Gaya Hoon Teri Naukari Se Ai Zindagi,
Munaasib Hoga Mera Hisaab Kar De.

31. Ghairo Se Poochhti Hai Tareeka Nizaat Ka,
Apno Ki Saajishon Se Pareshaan Zindagi.

32. Mujh Se Naaraaj Hai To Chhod De Tanha Mujhko,
Ai Zindagi Mujhe Roz-Roz Tamasha Na Banaya Kar.

33. Roj-Roj Gir Kar Bhi Mukammal Khade Hain,
Ai Zindagi Dekh Mere Hausle Tujhse Bhi Bade Hain.

34. Mujh Se Naaraaj Hai To Chhod De Tanha Mujhko,
Ai Zindagi Mujhe Roz-Roz Tamasha Na Banaya Kar.

35. Zindagi Tu Koi Dariya Hai Ke Sagar Hai Koi,
Mujhko Maloom To Ho Kaun Se Paani Mein Hun Main.

36. Fursat Agar Mile To Mujhe Parhna Jaroor,
Nakaam Zindagi Ki Muqammal Kitab Hoon Main.

37. Hasil-e-Zindagi Hasrato Ke Siwa Aur Kuchh Bhi Nahi,
Ye Kiya Nahi, Wo Hua Nahi, Ye Mila Nahi, Wo Raha Nahi.

38. Hai Ajeeb Shahar Ki Zindagi Na Safar Raha Na Qayam Hai,
Kahi Karobaar Si Dophar Kahi Bad-Mijaz Si Shaam Hai.

39. Manzile Mujhe Chhod Gayin Raston Ne Sambhal Liya
Zindagi Teri Jarurat Nahi Mujhe Haadson Ne Paal Liya.

40. Manzile Mujhe Chhod Gayin Raston Ne Sambhal Liya
Zindagi Teri Jarurat Nahi Mujhe Haadson Ne Paal Liya.

41. Kuchh Aag Aarzoo Ki Ummeed Ka Dhuaan Kuchh,
Haan Raakh Hi To Thhehra Anjaam Zindagi Ka.

42. Har Ek Chehre Ho Zakhmo Ka Aayina Na Kaho,
Ye Zidagi To Hai Rehmat Ise Saza Na Kaho.

43. Na Kar Shumaar Ki Har Shay Gini Nahi Jaati,
Ye Zindagi Hai Hisaabon Se Jee Nahi Jaati.

44. Najariya Badal Ke Dekh Har Taraf Najraane Milenge,
Ai Zindagi Yehan Teri Takleefon Ke Bhi Deewane Milenge.

45. Ai Zindagi, Todkar Humko Aise Bikher De Iss Baar,
Na Fir Se Toot Payein Hum, Aur Na Fir Se Jud Paye Tu.

45. Yun Hi Khatm Ho Jayega Jaam Ki Tarah Zindagi Ka Safar,
Kadwa Hi Sahi Ek Baar To Nashe Mein Hokar Piya Jaye.

46. Paani Pher Do Inn Panno Par Taki Dhul Jaye Syahi Sari,
Zindagi Fir Se Likhne Ka Man Hota Hai Kabhi Kabhi.

47. Jab Bhi Suljhana Chaha Zindagi Ke Sawalon Ko Maine,
Har Ek Sawaal Mein Zindagi Meri Ulajhti Chali Gayi.

48. Zindagi Log Jise Marham-e-Gham Jaante Hain,
Jis Tarah Hum Ne Gujari Hai Wo Hum Jante Hain.

49. Kuchh Iss Tarah Se Gujaari Hai Zindagi Jaise,
Tamaam Umr Kisi Doosre Ke Ghar Mein Raha.

50. Jo Teri Chaah Mein Gujri Wahi Zindagi Thi Bas,
Uske Baad To Bas Zindagi Ne Gujara Hai Mujhe.

Sad and Emotional Hindi Shayari on Life

51. Ab To Apni Tabiyat Bhi Juda Lagti Hai,
Saans Leta Hun To Zakhmo Ko Hawa Lagti Hai,
Kabhi Razi To Kabhi Mujse Khafa Lagti Hai,
Zindagi Tu Hi Bata Tu Meri Kya Lagti Hai.

52. Zindagi Wo Jo Khwaabo-Khayalon Mein Hai,
Wo To Shayad Mayassar Na Hogi Kabhi,
Ye Jo Likhi Hui Inn Lakeeron Mein Hai,
Ab Isee Zindgaani Ke Ho Jaayein Kya.

53. Hanskar Jeena Hi Dastoor Hai Zindagi Ka,
Ek Yehi Kissa MashHoor Hai Zindagi Ka,
Beete Huye Pal Kabhi Laut Kar Nahi Aate,
Yehi Sabse Bada Kasoor Hai Zindagi Ka.

54. ShatRanj Ki Tarah Khel Rahi Hai
Meri Zindagi Mujhse,
Kabhi Teri Mohabbat Maat Deti Hai
Kabhi Meri Kismat.

55. Kitna Aur Badloon Khud Ko
Zindagi Jeene Ke Liye,
Ai Zindagi Mujhko Thoda Sa
Mujh Mein Baki Rehne De.

56. Khushi Mein Bhi Aankh Aansoo Bahati Rahi,
Jara Si Baat Humein Der Talak Rulaati Rahi,
Koi Kho Ke Mil Gaya To Koi Mil Ke Kho Gaya,
Zindagi Humko Bas Aise Hi Aazmaati Rahi.

57. Hanskar Jeena Hi Dastoor Hai Zindagi Ka,
Ek Yehi Kissa MashHoor Hai Zindagi Ka,
Beete Huye Pal Kabhi Laut Kar Nahi Aate,
Yehi Sabse Bada Kasoor Hai Zindagi Ka.

58. Zindagi Ek Phool Hain
Ye Hum Sabhi Ki Bhool Hain
Girkar Khud hi Uthna Hain
Zindagi Zine Ka Yahi Vasool Hain

59. Hai chand bhi akela seetaron ke bich main
jeete hai hum bhi tanha hazaron ke bich mainye Kaisa muqaddar likha hai mere maula tune
koi yaar na mila yahan yaaron ke bich main

60. Jeene ke waste teri baatein kharid loon
mera bus chale to teri yaadein khareed loon
har waqt jo sirf tera deedar kar saken
sab kuch luta kar wo aakhin khareed loon

Deep Shayari in English

61. ‘’Money and success don’t change people;
they merely amplify what is already there’’.

62. ‘’Not how long,
but how well
you have lived is the main thing.”

63. ‘’I don’t like to talk
About my situation
Because I know
If I talk, I’d cry.”

 64. ‘’I can’t go back in the past
And change my wrong
But I can go in the future
And make life bright.”

65. ‘’Lies never look cool,
Cheats never look beautiful.”

66. ‘’Positive Imagination generates Positive Power
And Makes life better.”

67. ‘’Save your feelings for,
Someone who cares.”

68. ‘’Never share your secret with anybody
It will destroy you.”

69. ‘’Never interrupt your enemy
When he is making a mistake.”

70. ‘’A clear rejection is always
better than a fake promise.”

71. ‘’Be strong enough to let go,
But we smart enough to wait. For what you deserve.”

72. ‘’Make your parents proud
your enemies jealous and yourself happy.”

73. ‘’Don’t worry my time is bad
But I will rise.”

74. ‘’Sometimes expecting the same
Love and care in return
Hurt a lot.”

75. ‘’The best revenge is no revenge.Move on, and be happy.”

76. ‘’The less you care about what others think,
The happier you will be.”

77. ‘’When your intentions are pure,
You don’t lose anyone.
People lose you.”

78. ‘’It’s never too late
For a new beginning
In your life.”

79. ‘’Reality of life
When you gave importance to people
They think you are always free. But they
Don’t understand that you yourself
Available for them.”

80. ‘’Never stop learning
Because of life never
Stops teaching’’

81. ‘’Always love your friends
From your heart not
From your mood or need.”

82. ‘’It’s okay to bevulnerable, sometimes.”

83. “The best project you’ll
Ever work on is you.”

84. ‘’It’s good to trust other
But, not to do so is much better.”

85. ‘’Sometimes you need
Bad things to happen
To inspire you to
Change and grow.”

86. ‘’Falling in love is easy
But staying in love is
Very special’’

87. ‘’Some people will never
Support you because
They are afraid of what
You might become.”

88. ‘’You are not sorry
That you did it
You are sorry that I found it.”

89. ‘’The best revenge is showing them
That your life is getting
Better after they’re gone.”

90. ‘’Success is not
Easy, you have
To put yourself
On fire’’

Motivational and Inspirational Shayari on Life

91. Jang Mein Kagzi Afraat Se Kya Hota Hai,
Himmatein Larti Hain, Tadaad Se Kya Hota Hai.

92. Behtar Se Behtar Ki Talaash Karo,
Mil Jaye Nadi Toh Samandar Ki Talaash Karo,
Toot Jate Hain Sheeshe Pattharon Ki Chot Se,
Tod De Patthar Aise Sheeshe Ki Talaash Karo.

93. Tu Rakh Yakeen Bas Apne Iraadon Par,
Teri Haar Tere Hauslon Se Toh Badi Nahi Hogi.

94. Fasla Najron Ka Dhokha Bhi Toh Ho Sakta Hai,
Koi Mile Na Mile Haath Barha Kar Dekho.

95. Fasla Najron Ka Dhokha Bhi Toh Ho Sakta Hai,
Koi Mile Na Mile Haath Barha Kar Dekho.

96. Hausle Bhi Kisi Hakeem Se Kam Nahi Hote,
Har Takleef Mein Takat Ki Davaa Dete Hain.

97. Sabab Talash Karo… Apne Haar Jaane Ka,
Kisi Ki Jeet Pe Rone Se Kuchh Nahi Hoga.

98. Wo Ladenge Kya Ke Jo Khud Par Fida Hain,
Hum Ladenge… Hum Khudaon Se Lade Hain.

99. Dua Karo Ke Salamat Rahe Meri Himmat,
Yeh Ek Chirag Kayi Aandhiyon Pe Bhari Hai.

100. Muskurane Ke Bahaane Jaldi Khojo Varna,
Zindgi Rulaane Ke Mauke Talaash Legi,

101. Naam ke hote hain sirf bade shahar,
maine to zindagi chote sehar mein dekha hai,
dus logon ko chote se ghar mein hansi se aur,
do logon ko bungle mein bhi udaas sa dekha hai.

You may also like: House Warming Wishes, Quotes and Messages

Conclusion:

If you want to know what life is-you ought to read Shayari on life. Each Shayari will inspire and motivate you. Some of them might bring tears to your life, but that’s the life you have to face. Besides the huge list of Life Shayari in English & Hindi Shayari in english and hindi, you can also have a look at house warming wishes and messages.

Leave a Reply

Your email address will not be published.

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.